International Kite Festival 2019
Is Article me maine aapko International Kite Festival Jo ki Ahmedabad (Gujrat) me Har Saal January me Aayojit kiya jata hai uske baare me bataya hai.
International-Kite-Festival-2019 |
Kite Festival Ahmedabad (Gujrat)
Kab Aayojit Hota hai International Kite Festival-
International Kite
Festival January Ke First Week me Aayojit kiya jata hai. Is Festival me India
Aur dusri Country ke Patang baaj aate hai aur is festival me hissa lete hai.
Jaha par PatangBaaj different type ke kites Fly karte hai aur logo ko Enjoy
karvate hai.
2019 Kite Festival-
Festival Date- 06 January To 14 January-2018
Time- 8.00 am
Venue- Ground Behind NID, Sabarmati RiverFront, Ahmedabad.
is baar Kite Festival 6 Jan ko Start hua hai aur 14 jan tak
chalega. jaha par duniya bhar se aaye huye PatangBaaj Patang Fly karte hai aur
logo ko enjoyment karvate hai. is kite festival ko dekhne ke liye Ahmedabad Aur
AasPaas ke Log aate hai. aur is festival ko enjoy karte hai.
International Kite festival me Sabhi visitor ko Free Entry di jati hai.
is festival me kite fly karne ke liye kachhe Dhadhe ka use
hota hai.
Kite Festival, Makar Sankranti, Uttarayan
Is baar Ahmedabad ke alawa Vadodra, Kevadiya, Dwarka,
Surat, Rajkot,Jetpur, Songadh, Saputara, Dholera, Dhordo me bhi kite festival
ka Aayojan kiya gya hai. jise aap Gujrattourism.com website par jakar in place
ki date jaan sakte ho.
mai is festival ko dekhne gya tha jaha par bahut sari aur different type ki kites Fly dekhne ko mili.
Jisme Indian National Flag, Parachute, Circle, Lion,
Chakeri, Fish aur bahut si dusre Type ki
kites bhi dekhne ko mili.
jise aap Photo Aur Vidoe me dekh sakte hai.
kites ke alawa waha
par ek Pradashan bhi rakha gya hai. jaha par Statue Of Unity Aur Gujrat
ke Famous place ki photo lagayi gyi hai. jisme Gujrat ki Zalak najar aati hai.
jise aap niche photo aur video me dekh sakte ho.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें