Paytm Mini KYC & Fully KYC full Explained I Paytm KYC need Document
Hello Dosto Finally Paytm ne KYC Process shuru kar di hai.
![]() | |
Paytm-KYC-Process |
jisme aap Mini KYC aur Fully KYC kar sakte hai.
is Article me mai aapko Paytm KYC ki full information dunga.
Sabse Pehle baat karte hai mini KYC ki-
Paytm Mini KYC aap apne mobile se hi kar sakte hai. mini kyc
karne ke liye aapko Voter ID, Pan Card, Driving License, Passport Inme se kisi
bhi 1 Document ki jarurat padegi. Mini KYC karne se Paytm Account me Aapko 1
Year ki Validity Milti hai jisse Aap Monthly Maximum 10,000 Ruppe ka Trancation Kar Sakte hai.
jiska use Money Transfer, Bill Payment, Recharge, Shopping Aur Paytm ki dusri
service ka use karne ke liye kar sakte hai.
Mini KYC karne ki Process Niche Video me dikhayi hai aap
video dekh kar Paytm Mini KYC kar sakte hai.
Ab Baat Karte hai Fully KYC Ki-
Paytm Fully KYC aap Mobile Se Nhi kar sakte, Fully KYC karne
ke liye aapko Paytm KYC Center me jana padega. aur aap wahi se Paytm Fully KYC
kar sakte hai. Paytm Fully KYC karne se aap ke Paytm Account ki Lifetime
Validity milti hai, aur monthly 1,00,000 Rupee ka Trancation kar sakte hai. jiska
use Money Transfer, Bill Payment, Recharge, Shopping Aur Paytm ki dusri service
ka use karne ke liye kar sakte hai. Paytm Fully KYC karne ke liye aapko Voter
ID, Pan Card, Driving License, Passport inme se kisi bhi 1 Original Document
aur Uski Xerox Copy uske alawa jis person ka document hai Uski Photo copy ki
jarurat padegi. ye 3 Document lekar aapko Paytm KYC Center jana hai aur waha
jakar aap Apna Fully Paytm KYC kar sakte hai.
Aap ke Area me KYC
Center kaha hai ye janne ke liye aap niche di gyi video dekh lijiye.
Also Read- Jio ke saare Recharge Plans ki Information
Also Read- Vivo ne China me launch kar diya hai Vivo Nex 2 Dual Screen Phone
Agar Aapke pass 1 se jyada Account ho to aap Dusre Account
me bhi aap apne document se KYC kar sakte hai lekin uske liye aapko Different Account me Differnet Document dena padega.
mujhe ummid hai ki Paytm KYC ka ye Article aapko pasand aaya
hoga, agar aapko ye Article Pasand aaya ho to gbsinfinity.com ko follow kijiye.
behind the Scene dekhne ke liye Aap mujhe Social Media par
follow Kar lijiye.
jiski link niche di
gyi hai jaha se aap mere social media account ko like aur follow kar lijiye.
कोई टिप्पणी नहीं:
टिप्पणी पोस्ट करें