What Is TRP ?
Sabhi Cheezo Ko Measure karne ke liye ek parameter fix hai,
aapka weight ho, aapki height ho ya phir aapke bhagne ki speed. sabhi ke liiye
ek parameter fix hai. usi tarah TV par aane wali Serial ya phir Us channel ki
jis par wo serial dikhayi jati hai uske liye TRP fix kiya gya hai. Ab aap soch
rahe honge ki TRP kya hai to is Article me mai bataunga TRP kya hai.
TRP kya hai ?
TRP ka Full Form Hai Television Rating Point. kisi bhi
serial ya channel ki rating ko measure karne ka ek parameter. TRP ke jariye
pata chalta hai kaunsi serial ya channel jyada Time dekha ja raha hai. yeh TRP
choice aur popularity ke base par diya jata hai.
TRP ko Calculate kaise kiya jata hai ?
TRP ek tool hai jiski help se yeh pata lagaya jaata hai Kaunsi
channel ya phir serial ko audience sabse jyada dekhna pasand karta hai. ismein
sirf serial ya channel include nhi hote hai bulki unke investors (jo ki serial
ya channel me paisa lagate hai) aur advertisers ko bhi calculate kiya jata hai.
Calculation se pata lagta hai ki Viewers ko kis category ke advertisement
Serial ya Channel par pasand aate hai.Channel ya Serial ki TRP me Advertisement
ka bhi ek bada hissa hota hai.Aap jab TV me koi Serial dekhte hai to bich me jo
Advertisement dikhayi jati hai use Serial ya Channel ka Investors tay karta hai
ki Advertisement Serial me kis jagah aur kis time par dikhani hai. jis se Jo Viewers
Serial ya channel dekhte hai usme unka Interest Bana Rahe.
jaise jaise samay badlata hai waise hi TRP ki calculation
mein bhi change aata hai.
Jab hamari TV me Sirf Doordarshan Chalta tha tab TRP ki
calculation DART (doordarshan Audience Rating Team) ke dwara ki jaati thi.
badalte samay ke sath bahut se naye channel aaye aur naye naye serial aaye. aur
TRP Calculation ko badla gya aur Phir TRP INTAM ( Indian Television Audience
Measurment) se uski calculation hone lagi. lekin abhi bhi india me jaha par
Channel nhi hai jaha par doordarshan hi chalta hai waha par TRP ke liye DART ka
use hota hai.
TRP ko calculate kaha par aur kaise Kiya jata hai ?
TRP ko calculate karne ke liye People Meter banaya gya hai.
jise kuch selected People Jisme sabhi category se audience ko choose kiya jata
hai aur unke gharo me Install kiya jata hai. Yeh People Meter alag alag Region
aur Language wale logo ke gharo me fit kiya jata hail. jisme Rich, Poor aur
middle class sabhi category ke log include hote hai. yeh audience thousand of
numbers me hoti hai. channel ya serial ki TRP Thousand Number of peoples ke
choice par ki jati hai.
INTAM dwara banayi gyi Team per minute ke hisab se channel
ya serial ke data ko People Meter se Moniter karti hai aur yahi team batati hai
ki kaunsi Serial ya channel sabse jyada baar aur kis time dekha jaa raha hai.
aur usse Serial ya Channel Ki TRP measure kiya jata hai.
in short Jo serial ki story achhi us serial aur channel ki
TRP jyada hoti hai kyuki uski audience jyada hoti hai isliye.
TRP kyu Measure kiya jata hai ?
TRP measure karne se ye pata chalta hai ki TV par jo Serial
ya Channel Show hoti hai usme se kaunsi Serial ya channel People (Audience)
jyada dekh rahe hai. us hisab se jo Serial Maker hai wo us Type ki Serial
Banate hai jisse Aapka Entertainment ho.
aapko pata hoga ki jo Serial Acchi hogi us Serial ke beech
me Advertisement jyada aati hai. aisa kuy ?
kyun ki yeh advertisement hi in TV Serial banane wale ko
Payment karte hai. Advertisement walo ko fayda ho isliye wo serial ke beech me jyada
ads dikhate hai.
Agar aapko Yeh What Is TRP ? ka Article achha laga ho to ise apne
frnds, relatives ko share kijiye. aur Aise hi Article ki liye Is Blog ko Follow
kar lijiye.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें